One of my favourite poems by Shri Harivansh Rai Bacchan

Jo beet gayi so baat gayi ..

Jeevan mein ek sitara tha
Maana woh behad pyara tha
Woh doob gaya to doob gaya
Ambar ke aanan ko dekho
Kitne iske tare toote
Kitne iske pyare choote
Par bolo toote taron par kab ambar shok manata hai

Jo beet gayi so baat gayi ....

Jeewan mein tha who ek kusum
The us pe nitya nyochawar tum
Wo sookh gaya to sookh gaya
Madhuwan ki chaati ko dekho
Sookhi kitni iski kaliyan
Jo murjhai phir kahan khili
Par bolo sookhe phoolon pe kab madhuvan shok manata hai ?

Jo beet gayi so baat gayi

Jeewan mein madhu ka pyala tha
Tumne tan man de daala tha
Woh toot gaya to toot gaya
Madiralay ka aangan dekho
Kitne pyaale hil jaate hain
Gir mitti mein mil jate hain
Jo girte hain kab uthte hain
Par bolo toote pyalon mein kab madiralay pachtata hai ?

Jo beet gayi so baat gayi




Comments

umang said…
One of my all-time favourites too! Nice bumping into your blog...

Popular posts from this blog

White water rafting at Dandeli

Melkote : The temple town

You know u're looking for a house when ...