One of my favourite poems by Shri Harivansh Rai Bacchan
Jo beet gayi so baat gayi .. Jeevan mein ek sitara tha Maana woh behad pyara tha Woh doob gaya to doob gaya Ambar ke aanan ko dekho Kitne iske tare toote Kitne iske pyare choote Par bolo toote taron par kab ambar shok manata hai Jo beet gayi so baat gayi .... Jeewan mein tha who ek kusum The us pe nitya nyochawar tum Wo sookh gaya to sookh gaya Madhuwan ki chaati ko dekho Sookhi kitni iski kaliyan Jo murjhai phir kahan khili Par bolo sookhe phoolon pe kab madhuvan shok manata hai ? Jo beet gayi so baat gayi Jeewan mein madhu ka pyala tha Tumne tan man de daala tha Woh toot gaya to toot gaya Madiralay ka aangan dekho Kitne pyaale hil jaate hain Gir mitti mein mil jate hain Jo girte hain kab uthte hain Par bolo toote pyalon mein kab madiralay pachtata hai ? Jo beet gayi so baat gayi